Dosto aap sabhi ko mai bta du ki (IMEI) kisi bhi device ki pehchan hoti hai. jaise mobile phone, 3G ya 4G tablets ya phir aapka ek chhota sa dongal ho. waha per bhi aapko milta hai ek (IMEI) number jiski madat se kisi bhi device ko track karne me aasani hoti hai.
Ye 15 latter ka hota hai or ye aapko kisi bhi bill me ya phir kisi bhi phone ke back panel me ya bhir battery ke nichhe ya phir apne phone me dail kare *#06# to bhi aapko (IMEI) Number dekhne ko mill jayega .
#.1 Normal phone fiture base !
Agar aapke pas ek normal phone hai to aapko jyada kuch karne ki jarurat nhi hai. sirf aapko polic station jana hoga or ek (FIR) likhwana hoga. or uske bad fir ki copy lekar mobile oprator ke pas jaiye. or aapko mil jayega ek dublicate sim card. or aap apne phone ka (IMEI) Number dedijiyega or boliyega ki us phone ko block karde. ya phir lga denge survilance mood me jiske bad dosto agar jisne phone churaya hai vo kisi or network ka bhi sim lagata hai to ek notification mil jayega. jiske bad police usko track karegai ideal case hai agar to mil sakta hai nhi to aap bhul hi jaiye us phone ko. bas kissa khatam kahani khatam. aap jo apna nya wala sim lijiye usse lagaiye nye wale phone me use kijiye....
#.2 Smatphone ya iPhone hai !
Agar aapke pas ek smartphone ya iphone hai to aapko police ke pas jane ki jarurat bilkul bhi nhi hai. agar aap apna phone kahi bhul gaye hai ya kahi rakh kar bhul gaye ho. ya kisi ne aapke phone ko chura liya to aise case me aapko police ke pas nhi jana chahiye. aapko login karna hoga android device manager find my phone!.
agar aap use karte hai ek android phone .
Or dosto aapko jana hai icloud me agar aap use karte hai iPhone device ko dosto dono hi case me aapko alag-alag option milte hai .
Option.1- Dosto agar aapka mobile online hai agar waha per network aa rha hai to waha per dosto aap apne phone ko direct locate kar sakte hai . one click procces se bda hi essy hai . agar aap ye kare kismat aapki achhi hai to phone agar aapko mil jata hai to jaiye dosto phone aapka gir gya hai ya phir kisi ne utha liya hai to le aiye apnephone ko wapas mil gya hai to .
Option.2- Lekin aapka phone agar kahi aise jagah per jaha accesseble nhi hai ya network nhi aa rha hai waha per ya aapko lagta hai ki aapka phone wapas nhi milega to sabse pahle apne phone ko lock kijiye . waha lock karne ka option mil jata hai . lock karne se aapko ye fayeda hoga ki (agar aapke phone me pattern ya lock nhi lga ho to aapka phone lock ho jayega) jis madat se koi aapka deta acces nhi kar payega . eske alawa aapko lagta hai ki aapka phone sayad hi mil paye ya sayad kisis ke galat hatho me chala jayega to aapke privete deta ko khatra hota hai to aap apne phone ko directly erase bhi kar sakte hai jisse aapka pure mobile ka deta wipe ho jayega .
to eske madat se aap apne mobile phone ko ring ke option se aap apne phone dhunde sakte hai or agar aapka phone galti se gir gya hai or kisine utha liya hai to aap apne phone pe screen massage bhi kar sakte hai . agar phone kisi achhe insaan ko mila ho to sayad h iaapka phone wapas mil jayega .


0 Comments